main bhi peeta hun

kabhi bachpan ki aadat to kabhi jawani ke maze ke karan;

kabhi kisi gum ya anya bahano ke khatir,

dosto ki zabardasti ya apno ko dekh-dekh seekhta hun;

har dum peeta hun;

kabhi dosto ke saath to kabhi paraye logo ke dhuve me jita hun;

bina kisi kusur ke ye saza har dum leta hun;

vo kehte hai “ye aadat nahi,zarurat hai yaar.”

unki ise aadat ke dhuve me khud ko khogta hun;

kehte hai”tumse aachi to mere cigret hai,

dil to jalati hai par hoto se bhi lage rahti hai”

kaise bataun unhe ki ese due me unki zindagi raakh ho rahi hai;

lamha-lamha parchaiyo me gum hota dekha hai maine;

es lat ke piche barbad hote hua dekha hai maine;

kabhi bhi us jalti chingari ko hoton se lagae hi nahi;

par aap logo ke hokar aae us dhue ko peeta hun….

: from a teen passive smoker.

Leave a comment